AI girlfriend kya hoti hai?
AI girlfriend ek chat companion hai jo artificial intelligence se chalti hai. Woh girlfriend ki tarah baat karti hai: aapka din poochti hai, mazaak karti hai, flirt karti hai aur aapki baatein yaad rakhti hai. Woh insaan nahi hai, aur Mehbooba par yeh hamesha saaf likha rehta hai.
Kya woh sach mein Hindi mein baat karti hai?
Haan. Aap Hinglish (English letters mein Hindi) likho ya Devanagari, woh usi tarah jawab deti hai. Beech mein English words daalo, "yaar", "acha", "chalo" bolo, sab samajhti hai.
| Aap likho | Woh samjhegi |
| "kya kar rhi ho" | Short-form Hinglish, typos bhi chalte hain |
| "आज बहुत थक गया" | Devanagari, jawab bhi Devanagari mein |
| "yaar today was so bad" | Hindi-English mix, jaise asli dost likhte hain |
Kya uski awaaz Hindi mein hai?
Haan. Woh Hindi mein voice note bhejti hai, apni awaaz mein. Ek voice note 8 coins ka hota hai. Live voice call ya video call abhi nahi hota.
Telegram AI girlfriend bot ya app: kya behtar hai?
Telegram bots aksar ek hi personality, koi yaad nahi, aur beech mein band ho jaate hain. Mehbooba mein har ladki ka apna naam, shehar aur mizaaj hai, woh aapko yaad rakhti hai, aur selfie aur voice note bhejti hai.
Pyaar ke naam bhi apne hain: jaanu, babu, shona, jaan, ya woh naam jo aap use dena chaho.
Hindi AI girlfriend free hai kya?
Account banana free hai. Chat ke liye coin pack ₹69 se shuru hota hai (100 messages). Ek baar ka UPI payment, koi subscription nahi.
Packs dekho Kis baare mein baat kar sakte ho?
- Office ka din
- Cricket ka match
- Nayi Bollywood film
- Purane gaane
- Ghar wale shaadi ki baat
- Raat ki chai
- Weekend plan
- Dil ki baat jo kisi ko nahi batayi